Apnon ke sitam ham se bataae naheen jaate

अपनों के सितम हम से बताए नहीं जाते
Year
Language

अपनों के सितम हम से बताए नहीं जाते
ये हादसे वो हैं जो सुनाए नहीं जाते

कुछ कम ही त्'अल्लुक है मुहब्बत का जुनूँ से
दीवाने तो होते हैं बनाए नहीं जाते

इक उम्र की कोशिश से भुला दी है तेरी याद
लेकिन अभी तक याद के साये नहीं जाते

प्यालों में हो ज़हराब कि कुछ और हो 'फ़ाकिर्'
अब होठों से वापस तो ये लाए नहीं जाते

apnoṅ ke sitam ham se batāe nahīṅ jāte
ye hādse vo haiṅ jo sunāe nahīṅ jāte

kuchh kam hī t'alluk hai muhabbat kā junūṇ se
dīvāne to hote haiṅ banāe nahīṅ jāte

ik umr kī kośhiśh se bhulā dī hai terī yād
lekin abhī tak yād ke sāye nahīṅ jāte

pyāloṅ meṅ ho zahrāb ki kuchh aur ho 'fākir'
ab hoṭhoṅ se vāpas to ye lāe nahīṅ jāte