अपनी तस्वीर को आँखों से लगाता क्या है
अपनी तस्वीर को आँखों से लगाता क्या है
इक नज़र मेरी तरफ़ भी तेरा जाता क्या है
मेरी रुस्वाई में वो भी हैं बराबर के शरीक़
मेरे क़िस्से मेरे यारों को सुनाता क्या है
पास रह कर भी न पहचान सका तू मुझको
दूर से देख के अब हाथ हिलाता क्या है
उम्र भर अपने गिरेबाँ से उलझने वाले
तू मुझे मेरे ही साये से डराता क्या है
मैं तेरा कुछ भी नहीं हूँ मगर इतना तो बता
देख कर मुझको तेरे ज़हन में आता क्या है
सफ़र-ए-शौक़ में क्यूँ काँपते हैं पाँव तेरे
दूर से देख के अब हाथ हिलाता क्या है
मर गये प्यास के मारे तो उठा अब्र-ए-करम
बुझ गई बज़्म तो अब शम्मा जलाता क्या है
apnī tasvīr ko āṇkhoṅ se lagātā kyā hai
ik nazar merī taraf bhī terā jātā kyā hai
merī rusvāī meṅ vo bhī haiṅ barābar ke śharīq
mere qisse mere yāroṅ ko sunātā kyā hai
pās rah kar bhī na pahchān sakā tū mujhko
dūr se dekh ke ab hāth hilātā kyā hai
umr bhar apne girebāṇ se ulajhne vāle
tū mujhe mere hī sāye se ḍarātā kyā hai
maiṅ terā kuchh bhī nahīṅ hūṇ magar itnā to batā
dekh kar mujhko tere zahan meṅ ātā kyā hai
safar-e-śhauq meṅ kyūṇ kāṇpte haiṅ pāṇv tere
dūr se dekh ke ab hāth hilātā kyā hai
mar gaye pyās ke māre to uṭhā abr-e-karam
bujh gaī bazam to ab śhammā jalātā kyā hai