अपनी ग़ज़लों में तेरा हुस्न सुनाऊँ आ जा
अपनी ग़ज़लों में तेरा हुस्न सुनाऊँ आ जा
आ ग़म-ए-यार तुझे दिल में बसाऊँ आ जा, आ जा
बिन किये बात तुझे बात सुना कर दिल की
तेरी आँखों में हया रंग सजाऊँ आ जा
अनछुये होंठ तेरे एक कली से छू कर
उसको मफ़हूम-ए-नज़ाक़त से मिलाऊँ आ जा, आ जा
मैंने माना के तू साक़ी है मैं मयकश तेरा
आज तू पी मैं तुझे जाम पिलाऊँ आ जा
हीर वारिस की सुनाऊँ मैं तुझे शाम ढले
तुझमें सोये हुये जज़्बों को जगाऊँ आ जा, आ जा
है मेरे सीने में हर आन धड़कती ख़ुश्बू
आ मेरे दिल में तुझे तुझसे मिलाऊँ आ जा
apnī ġhazloṅ meṅ terā husn sunāūṇ ā jā
ā ġham-e-yār tujhe dil meṅ basāūṇ ā jā, ā jā
bin kiye bāt tujhe bāt sunā kar dil kī
terī āṇkhoṅ meṅ hayā raṅg sajāūṇ ā jā
anchhuye hoṅṭh tere ek kalī se chhū kar
usko mafhūm-e-nazāqat se milāūṇ ā jā, ā jā
maiṅne mānā ke tū sāqī hai maiṅ maykaśh terā
āj tū pī maiṅ tujhe jām pilāūṇ ā jā
hīr vāris kī sunāūṇ maiṅ tujhe śhām ḍhale
tujhmeṅ soye huye jazboṅ ko jagāūṇ ā jā, ā jā
hai mere sīne meṅ har ān dhaṛaktī khuśhbū
ā mere dil meṅ tujhe tujhse milāūṇ ā jā