अपनी धुन में रहता हूँ
मैं भी तेरे जैसा हूँ
ओ पिछली रुत के साथी
अब के बरस मैं तनहा हूँ
तेरी गली में सारा दिन
दुख के कंकर चुनता हूँ
मेरा दिया जलाये कौन
मैं तेरा खाली कमरा हूँ
अपनी लहर है अपना रोग
दरिया हूँ और प्यासा हूँ
आती रुत मुझे रोयेगी
जाती रुत का झोँका हूँ
apnī dhun meṅ rahtā hūṇ
maiṅ bhī tere jaisā hūṇ
o pichhlī rut ke sāthī
ab ke baras maiṅ tanhā hūṇ
terī galī meṅ sārā din
dukh ke kaṅkar chuntā hūṇ
merā diyā jalāye kaun
maiṅ terā khālī kamrā hūṇ
apnī lahar hai apnā rog
dariyā hūṇ aur pyāsā hūṇ
ātī rut mujhe royegī
jātī rut kā jhoṇkā hūṇ