अंदोह से हुई न रिहाई तमाम शब्
अंदोह से हुई न रिहाई तमाम शब
मुझ दिलज़दा को नींद न आई तमाम शब
चश्मक चली गई थी सितारों की सुबह तक
की आस्माँ से दीदा-वराई तमाम शब
बैठे ही गुज़री वादे की शब वो न आ फिरा
ईज़ा अजब तरह की उठाई तमाम शब
जब मैं शुरू क़िस्सा किया आँखें खोल दीं
यक़ीनी थी मुझको चस्म-नुमाई तमाम शब
वक़्त-ए-सियह ने देर में कल यावरी सी की
थी दुश्मनी से इसकी लड़ाई तमाम शब
तारे से, तेरी पलकों पे, क़तरे से अश्क़ के
देते रहे हैं 'मीर्' दिखाई तमाम शब्
aṅdoh se huī na rihāī tamām śhab
mujh dilazdā ko nīṅd na āī tamām śhab
chaśhmak chalī gaī thī sitāroṅ kī subah tak
kī āsmāṇ se dīdā-varāī tamām śhab
baiṭhe hī guzrī vāde kī śhab vo na ā phirā
īzā ajab tarah kī uṭhāī tamām śhab
jab maiṅ śhurū qissā kiyā āṇkheṅ khol dīṅ
yaqīnī thī mujhko chasm-numāī tamām śhab
vaqt-e-siyah ne der meṅ kal yāvrī sī kī
thī duśhmnī se iskī laṛāī tamām śhab
tāre se, terī palkoṅ pe, qatre se aśhq ke
dete rahe haiṅ 'mīr' dikhāī tamām śhab