chiṅgārī koī bhaṛke, to sāvan use bujhāye
sāvan jo agan lagāye, use kaun bujhāye
patjhaḍ jo bāġh ujāṛe, vo bāġh bahār khilāye
jo bāġh bahār meṅ ujaṛe, use kaun khilāye
hamse mat pūchho kaise, maṅdir ṭūṭā sapnoṅ kā
logoṅ kī bāt nahīṅ hai, ye kissā hai apnoṅ kā
koi duśhman ṭheṅs lagāye, to mīt jiyā bahlāye
manmīt jo ghāṅv lagāye, use kaun miṭāye
nā jāne kyā ho jātā, jāne ham kyā kar jāte
pīte haiṅ to ziṅdā haiṅ, nā pite to mar jāte
duniyā jo pyāsā rakhe, to madirā pyās bujhāye
madirā jo pyās lagāye, use kaun bujhāye
mānā tūfān ke āge, nahīṅ chaltā jor kisī kā
maujoṅ kā doṣh nahīṅ hai, ye doṣh hai aur kisī kā
mazdhār meṅ naiyyā ḍole, to māṇjhī pār lagāye
māṇjhī jo nāv ḍuboye use kaun bachāye