ra: tayyab alī pyār kā duśhman hāy! hāy!
merī jān kā duśhman hāy! hāy!
laṛkā aur laṛkī
ko: rāzī
ra: phir bhī na māne
ko: qāzī
ra: ye zidd na chhoṛe, mere dil ko toṛe
ye banne na de merī salmā ko merī dulhan
tayyab alī pyār kā duśhman hāy! hāy!
ra: lakaṛī beche aur na samjhe, laṛkī ke armānoṅ ko
moṭā seṭh tarāzū meṅ tole
hāṇ tarāzū meṅ tole
chhoṭe insānoṅ ko
ho jāye buḍḍhā
ko: hāṇ jī
ra: allāh ko pyārā
ko: hāṇ jī
ra: maiṅ kar lūṇ śhādī
khānā ābādī
sulajh jāye pal meṅ merī barsoṅ kī uljhan
tayyab alī …
sāṭh baras kī umar meṅ aise chehrā kisī kā khiltā hai
hamko hai mālūm kisī se, kisī se
chhupkar ye bhī miltā hai
maiṅ nām batāūṇ?
mu: na jī, na jī, na jī
ra: tasvīr dikhāūṇ?
mu: na jī, na jī, na jī
ra: ḍar gayā ye kaise
bāzār meṅ aise
śharīfoṅ ko ham rusvā nahīṅ karte miyāṇ jumman
tayyab alī …