rafī: kyā rāt suhānī hai, kyā rāt suhānī hai
āj zamāne kī har śhai pe javānī hai
latā: anmol niśhānī hai, anmol niśhānī hai
tū merī ulfat ke khvāboṅ kī javānī hai
rafī: kuchh kah do nigāhoṅ meṅ, kuchh kah do nigāhoṅ meṅ
āj simaṭ āo tarsī huī bāhoṅ meṅ
kuchh kah do nigāhoṅ meṅ
latā: hasrat hai nigāhoṅ meṅ, hasrat hai nigāhoṅ meṅ
dūr kahīṅ chal dūṇ chhup kar terī bāhoṅ meṅ
rafī: taqdīr sambhal jāe, taqdīr sambhal jāe
ġhar mere sīne par ye zulf machal jāe
latā: ye rāt nā ḍhal jāe, ye rāt nā ḍhal jāe
subah ke tāre kī nīyat nā badal jāe
donoṅ: kyā rāt suhānī hai, kyā rāt suhānī hai
āj zamāne kī har śhai pe javānī hai
kyā rāt suhānī hai