la: muskurātī huī chāṇdnī
jagamgātā huā āsmāṇ
le chale ho mujhe tum kahāṇ
he: do muhabbat bhare dil jahāṇ
kah sake pyār kī dāstāṇ
le chale ham tumheṅ haiṅ vahāṇ
he: kah rahe haiṅ nazāre pukār ke
bīt jāe nā din ye bahār ke
la: sanasnātī havāoṅ ke gīt ne
tāreṅ chheṛe haiṅ dil ke sitār ke
do: ye suhānā samā hai umaṅgeṅ javāṇ
phir khule kyoṇ nā dil kī zubāṇ …
la: āj kaisī suhānī ye rāt hai
ziṅdgī meṅ nayī ek bāt hai
he: in sitāroṅ kī raṅgīn chhāṇv me
do dilo kā anokhā ye sāth hai
do: ham tumhāre hue tum hamāre hue
pyār kā muskurāyā jahāṇ …