Ai husn-e-laalaafaam zaraa aankh to milaa

ऐ हुस्न-ए-लालाफ़ाम ज़रा आँख तो मिला
Year
Language

ऐ हुस्न-ए-लालाफ़ाम ज़रा आँख तो मिला
खाली पड़े हैं जाम ज़रा आँख तो मिला

कहते हैं आँख आँख से मिलना है बंदगी
दुनिया के छोड़ काम ज़रा आँख तो मिला

क्‌या वो न आज आयेंगे तारों के साथ साथ
तनहाइयों की शाम ज़रा आँख तो मिला

साक़ी मुझे भी चाहिये इक जाम-ए-आरज़ू
कितने लगेंगे दाम ज़रा आँख तो मिला

हैं राह-ए-कहकशाँ में अज़ल से खड़े हुए
'साग़र्' तेरे ग़ुलाम ज़रा आँख तो मिला

ai husn-e-lālāfām zarā āṇkh to milā
khālī paṛe haiṅ jām zarā āṇkh to milā

kahte haiṅ āṇkh āṇkh se milnā hai baṅdgī
duniyā ke chhoṛ kām zarā āṇkh to milā

k‌yā vo na āj āyeṅge tāroṅ ke sāth sāth
tanhāiyoṅ kī śhām zarā āṇkh to milā

sāqī mujhe bhī chāhiye ik jām-e-ārazū
kitne lageṅge dām zarā āṇkh to milā

haiṅ rāh-e-kahakśhāṇ meṅ azal se khaṛe hue
'sāġhar' tere ġhulām zarā āṇkh to milā