ऐ बेखबरी दिल को दीवाना बना देना
ऐ बेखबरी दिल को दीवाना बना देना
हर साँस की हस्ती से बेगाना बना देना
टूटा हुआ दिल शमा-ए-बुतखाना बना देना
जब रात ढले साक़ि, पैमाना बना देना
पुरशोर घटाओं का ममनून न होने दो
तुम को भी तो आता है, दीवाना बना देना
तम्हीद-ए-ख़राबी की, तक़मील ख़राबी है
इक बुत का बनाना है, बुतखाना बना देना
ख़ुद किस्सा-ए-ग़म अपना वो ताह किया मैं ने
दुनिया ने बहुत चाहा, अफ़साना बना देना
सीमाब यही जाने, गम.री-ए-मुहब्बत है
इन्साँ को हमिंजाम-ए-परवाना बना देना
ai bekhabrī dil ko dīvānā banā denā
har sāṇs kī hastī se begānā banā denā
ṭūṭā huā dil śhamā-e-butkhānā banā denā
jab rāt ḍhale sāqi, paimānā banā denā
purśhor ghaṭāoṅ kā mamnūn na hone do
tum ko bhī to ātā hai, dīvānā banā denā
tamhīd-e-kharābī kī, taqmīl kharābī hai
ik but kā banānā hai, butkhānā banā denā
khud kissā-e-ġham apnā vo tāh kiyā maiṅ ne
duniyā ne bahut chāhā, afsānā banā denā
sīmāb yahī jāne, gam.rī-e-muhabbat hai
insāṇ ko hamiṅjām-e-parvānā banā denā