mīt na milā re mankā
koī to milan kā karo re upāy
chain nahīṅ bāhar, chain nahīṅ ghar meṅ
man merā dhartī par aur kabhī ambar meṅ
usko ḍhūṇḍhā har ḍagar meṅ har nagar meṅ
galī galī dekhā nayan uṭhāe
roz maiṅ apne hī pyār ko samjhāūṇ
vo nahīṅ āegā mān nahīṅ pāūṇ
śhām hī se prem-dīpak maiṅ jalāūṇ
phir vohī dīpak dūṅ meṅ bujhāe
der se man merā ās lie ḍole
prītabhrī bānī sāz merā bole
koī sajnī ek khiṛkī bhī na khole
lākh tarāne rahā maiṅ sunāye