maiṅ ne pūchhā chāṇd se ki dekhā hai kahīṅ
mere yār sā hasīṅ
chāṇd ne kahā chāṇdnī kī qasam
nahīṅ, nahīṅ, nahīṅ
maiṅ ne pūchh chāṇd se …
khūbsūrtī jo tūne pāī
luṭ gaī khudā kī bas khudāī
mīr kī ġhazal kahūṇ tujhe maiṅ
yā kahūṇ khayām kī rubāī
maiṅ jo pūchhūṇ śhāyroṅ se aisā dilanśhīṅ
koī śher hai kahīṅ
śhāyar kahe śhāyrī kī qasam
nahīṅ, nahīṅ, nahīṅ
maiṅ ne pūchhā chāṇd se …
maiṅ ne ye hijāb terā ḍhūṇḍhā
har jagah śhabāb terā ḍhūṇḍhā
kaliyoṅ se misāl terī pūchhī
phūloṅ meṅ javāb terā ḍhūṇḍhā
maiṅ ne pūchhā bāġh se falaq ho yā zamīṅ
aisā phūl hai kahīṅ
bāġh ne kahā har kalī kī qasam
nahīṅ, nahīṅ, nahīṅ
maiṅ ne pūchhā chāṇd se …
ho chāl hai ki mauj kī ravānī
zulf hai ki rāt kī kahānī
hoṅṭh haiṅ ki āine kṇval ke
āṇkh hai ki mayaqdoṅ kī rānī
maiṅ ne pūchhā jām se falaq ho yā zamīṅ
aisī may bhī hai kahīṅ
jām ne kahā, mayakśhī kī qasam
nahīṅ, nahīṅ, nahīṅ
maiṅ ne pūchhā chāṇd se …