अब मुझे रात दिन तुम्हारा ही ख्याल है
अब मुझे रात दिन तुम्हारा ही ख्याल है
क्या कहूं प्यार में दीवानों जैसा हाल है
दीवानों जैसा हाल है तुम्हारा ही ख्याल है
तुझको देखे बिना चैन मिलता नहीं
दिल पे अब तो कोई ज़ोर चलता नहीं
जादू है कैसा दिल की लगी में
डूब गया हूँ इस बेखुदी में
अब मुझे रात दिन …
हर पल ढूंढें नज़र तुमको ही जान-ए-मन
हद से बढ़ने लगा मेरा दीवानापन
दिल में बसा लूं अपना बना लूं
या फिर नज़र में तुमको छुपा लूं
अब मुझे रात दिन …
ab mujhe rāt din tumhārā hī khyāl hai
kyā kahūṅ pyār meṅ dīvānoṅ jaisā hāl hai
dīvānoṅ jaisā hāl hai tumhārā hī khyāl hai
tujhko dekhe binā chain miltā nahīṅ
dil pe ab to koī zor chaltā nahīṅ
jādū hai kaisā dil kī lagī meṅ
ḍūb gayā hūṇ is bekhudī meṅ
ab mujhe rāt din …
har pal ḍhūṅḍheṅ nazar tumko hī jān-e-man
had se baṛhne lagā merā dīvānāpan
dil meṅ basā lūṅ apnā banā lūṅ
yā phir nazar meṅ tumko chhupā lūṅ
ab mujhe rāt din …