अब के हम बिछड़े तो शायद कभी ख़ाबों में मिलें
अब के हम बिछड़े तो शायद कभी ख़ाबों में मिलें
जिस तरह सूखे हुये फूल किताबों में मिलें
ढूँढ उजड़े हुये लोगों में वफ़ा के मोती
ये ख़ज़ाने तुझे मुम्किन है ख़राबों में मिलें
तू ख़ुदा है न मेरा इश्क़ फ़रिश्तों जैसा
दोनों इन्साँ हैं तो क्यूँ इतने हिजाबों में मिलें
ग़म-ए-दुनिया भी ग़म-ए-यार में शामिल कर लो
नशा बढ़ता है शराबें जो शराबों में मिलें
अब न वो मैं हूँ न वो तू है न वो माज़ी है 'फ़राज़्'
जैसे दो साये तमन्ना के सराबों में मिलें
ab ke ham bichhaṛe to śhāyad kabhī khāboṅ meṅ mileṅ
jis tarah sūkhe huye phūl kitāboṅ meṅ mileṅ
ḍhūṇḍh ujaṛe huye logoṅ meṅ vafā ke motī
ye khazāne tujhe mumkin hai kharāboṅ meṅ mileṅ
tū khudā hai na merā iśhq fariśhtoṅ jaisā
donoṅ insāṇ haiṅ to kyūṇ itne hijāboṅ meṅ mileṅ
ġham-e-duniyā bhī ġham-e-yār meṅ śhāmil kar lo
naśhā baṛhtā hai śharābeṅ jo śharāboṅ meṅ mileṅ
ab na vo maiṅ hūṇ na vo tū hai na vo māzī hai 'farāz'
jaise do sāye tamannā ke sarāboṅ meṅ mileṅ