अब कहाँ प्यार में पाकीज़गी का नाम-ओ-निशाँ
अब कहाँ प्यार में पाकीज़गी का नाम-ओ-निशाँ
जिस्म की भूक है और इसके सिवा कुछ भी नहीं
वो सदी बीत चुकी जिसमें थे लैला मजनू
आज तो सिर्फ़ है दुनिया में दिखावे का जुनूँ
और फिर ढूँढते फिरते हैं मुहब्बत का सुकूँ
इन इरादों में गुनाहों के सिवा कुछ भी नहीं
ज़ुल्म होता है अंधेरों में हवस पलती है
जिसमें ताक़त है यहाँ उसकी सदा चलती है
ज़ख़्म ताज़ा हैं मगर फिर भी छुरी चलती है
मर्ज़ कुछ ऐसे भी हैं जिनकी दवा कुछ भी नहीं
ab kahāṇ pyār meṅ pākīzgī kā nām-o-niśhāṇ
jism kī bhūk hai aur iske sivā kuchh bhī nahīṅ
vo sadī bīt chukī jismeṅ the lailā majnū
āj to sirf hai duniyā meṅ dikhāve kā junūṇ
aur phir ḍhūṇḍhte phirte haiṅ muhabbat kā sukūṇ
in irādoṅ meṅ gunāhoṅ ke sivā kuchh bhī nahīṅ
zulm hotā hai aṅdheroṅ meṅ havas paltī hai
jismeṅ tāqat hai yahāṇ uskī sadā chaltī hai
zakhm tāzā haiṅ magar phir bhī chhurī chaltī hai
marz kuchh aise bhī haiṅ jinkī davā kuchh bhī nahīṅ