आवारगी ब-रंग-ए-तमाशा बुरी नहीं
आवारगी ब-रंग-ए-तमाशा बुरी नहीं
ज़ौक़-ए-नज़र मिले तो ये दुनिया बुरी नहीं
कहते हैं तेरी ज़ुल्फ़-ए-परीशाँ को ज़िंदगी
ऐ दोस्त ज़िंदगी की तमन्ना बुरी नहीं
है नाख़ुदा का मेरी तबाही से वास्ता
मैं जानता हूँ नीयत-ए-दरिया बुरी नहीं
इस रहज़न-ए-हयात ज़माने से दूर चल
मर भी गये तो चादर-ए-सहरा बुरी नहीं
āvārgī ba-raṅg-e-tamāśhā burī nahīṅ
zauq-e-nazar mile to ye duniyā burī nahīṅ
kahte haiṅ terī zulf-e-parīśhāṇ ko ziṅdgī
ai dost ziṅdgī kī tamannā burī nahīṅ
hai nākhudā kā merī tabāhī se vāstā
maiṅ jāntā hūṇ nīyat-e-dariyā burī nahīṅ
is rahazan-e-hayāt zamāne se dūr chal
mar bhī gaye to chādar-e-sahrā burī nahīṅ