ki: mere dil meṅ jo hotā hai
ra: tere dil meṅ kyā hotā hai
ki: hotā hai to
ra: ye pyār hai
ki: ikrār hai
la: hāṇ thoṛā kuchh hotā to hai
jāne kyā iskā nām maiṅ hūṇ muśhqil meṅ
ki: mere dil meṅ …
ki: apnī muśhqil ko āsān kar lo
āṇkhoṅ meṅ jhāṇko pahchān kar lo
ra: is dostī ko kuchh nām de do
āġhāz de do anjām de do
la: tum jo chāho isko samjho
jo samjho vo mujhko kah do
mujhko kahāṇ inkār hai ikrār hai
ki: kuchh to batā do apnī zubānī
ham joṛ leṅge āge kahānī
ra: bechain sī hai kyā zindgānī
bas pyār kī hai ye hī niśhānī
la: aisā hai to rahne bhī do jāne bhī do
kuchh aur to kahnā abhī duśhvār hai
ra: kar do nazar se koī iśhārā
ki: kyā faislā hai bolo tumhārā
la: apne diloṅ ko aise na toṛo
qismat kī bāteṅ qismat pe chhoṛo
mausam bhī furasat bhī hai
āo mil ke jhūmeṅ-gāeṇ
ham phir kabhī socheṅge kyā pyār hai
ki: mere dil meṅ …