Aankh partee hai kaheen paanv kaheen partaa hai

आँख पड़ती है कहीं पाँव कहीं पड़ता है
Year
Language

आँख पड़ती है कहीं पाँव कहीं पड़ता है
सबकी है तुमको ख़बर अपनी ख़बर कुछ भी नहीं

शमा है, गुल भी है, बुलबुल भी है, परवाना भी
रात की रात ये सब कुछ है सहर कुछ भी नहीं

हश्र की धूम है सब कहते हैं यूँ है यूँ है
फ़ितना है एक तेरी ठोकर का मगर कुछ भी नहीं

रेख़्ती की है मुझ्से कूच-ए-हस्ती में तलाश
पैर करता हूँ उधर की के जिधर कुछ भी नहीं

āṇkh paṛtī hai kahīṅ pāṇv kahīṅ paṛtā hai
sabkī hai tumko khabar apnī khabar kuchh bhī nahīṅ

śhamā hai, gul bhī hai, bulbul bhī hai, parvānā bhī
rāt kī rāt ye sab kuchh hai sahar kuchh bhī nahīṅ

haśhr kī dhūm hai sab kahte haiṅ yūṇ hai yūṇ hai
fitnā hai ek terī ṭhokar kā magar kuchh bhī nahīṅ

rekhtī kī hai mujhse kūch-e-hastī meṅ talāśh
pair kartā hūṇ udhar kī ke jidhar kuchh bhī nahīṅ