achchhā to ham chalte haiṅ
phir kab miloge
jab tum kahoge
jumme rāt ko
hāṇ hāṇ ādhī rāt ko
kahāṇ?
vahīṅ jahāṇ koī ātā jātā nahīṅ
achchhā to ham chalte haiṅ …
kisī ne dekhā to nahīṅ tumheṅ āte
nahīṅ maiṅ āyī hūṇ chhupke chhupāke
der kar dī baṛī
zarā dekho to ghaṛī
uff o, merī to ghaṛī band hai
terī ye adā mujhe pasand hai
dekho bāte vāteṅ kar lo jaldī jaldī
phir na kahnā abhī āyī abhī chal dī
to āo pās baiṭheṅ pal do pal
āj nahīṅ kal
ye to ik bahānā hai
vāpas ghar bhī jānā hai
kitni jaldī ye din ḍhalte haiṅ
hāy! ṭāṭā …
achchhā to ham chalte haiṅ
phir kab miloge
jab tum kahoge
kal milo yā parsoṅ
parsoṅ nahīṅ, narsoṅ
kahāṇ?
yahīṅ yahāṇ koī ātā jātā nahīṅ
achchhā to ham chalte haiṅ …
uṛā hai kis liye terā raṅg gorī
hamārī pakaṛī gayī hai bas chorī
- achchhā?
rām jāne kyā ho ab
kaise huā ye ġhazab
merā āṇchal jo zarā ḍhal gayā
sārī duniyā ko patā chal gayā
kaise kheleṅge ab āṇkh micholi
lejā āke mere ghar se merī ḍolī
tere ghar vāle na kar de iṅkār
sab haiṅ taiyyār, sab haiṅ taiyyār
sun le phir dil kī fariyād
bas bāqī śhādī ke bād
piyā dekho, diye jalte haiṅ
achchhā …
achchhā to ham chalte haiṅ …