Aaj roothe huye saajan ko bahut yaad kiyaa

आज रूठे हुये साजन को बहुत याद किया
Year
Language

आज रूठे हुये साजन को बहुत याद किया
अपने उजड़े हुये गुलशन को बहुत याद किया

जब कभी गर्दिश-ए-तक़दीर ने घेरा है हमें
गेसु-ए-यार की उलझन को बहुत याद किया

जिसके माथे पे नई सुबहो का झुम्मर होगा
हमने उस वक़्त की दुल्हन को बहुत याद किया

आज टूटे हुये सपनों की बहुत याद आई
आज बीते हुये सावन को बहुत याद किया

हम सर-ए-तूर भी मायूस-ए-तजल्ली ही रहे
उस दर-ए-यार की चिलमन को बहुत याद किया

āj rūṭhe huye sājan ko bahut yād kiyā
apne ujaṛe huye gulaśhan ko bahut yād kiyā

jab kabhī gardiśh-e-taqdīr ne gherā hai hameṅ
gesu-e-yār kī uljhan ko bahut yād kiyā

jiske māthe pe naī subho kā jhummar hogā
hamne us vaqt kī dulhan ko bahut yād kiyā

āj ṭūṭe huye sapnoṅ kī bahut yād āī
āj bīte huye sāvan ko bahut yād kiyā

ham sar-e-tūr bhī māyūs-e-tajallī hī rahe
us dar-e-yār kī chilman ko bahut yād kiyā