Aaj naheen ye kaam chalo kal kar lenge

आज नहीं ये काम चलो कल कर लेंगे
Year
Language

आज नहीं ये काम चलो कल कर लेंगे
उसके चेहरे से आँखों को कल भर लेंगे
उस आहट पर कल मर लेंगे

कल उससे ऐसा कह देंगे
कल उससे ऐसा सुन लेंगे
ये काम भी कल निपटा लेंगे
जो गीत नहीं हम होंठों पर आ पाया आज
वो गीत चलो कल गा लेंगे

कल ज़ख़्म ये सब भर जायेंगे
ये आज डबो लो अश्क़ों में
कल जब ख़ुशियाँ घर आयेंगी
हम जी भर कर मुस्का लेंगे
जो आज गँवाया है हमने
कल उससे बेहतर पा लेंगे

जो कुछ होता है आज उसे हो जाने दो
कल सब अच्छा हो जायेगा
हर ज़ख़्म हर इक दुख दर्द अलम
सो जायेगा खो जायेगा
पर जान मेरी कल आयेगा

āj nahīṅ ye kām chalo kal kar leṅge
uske chehre se āṇkhoṅ ko kal bhar leṅge
us āhaṭ par kal mar leṅge

kal usse aisā kah deṅge
kal usse aisā sun leṅge
ye kām bhī kal nipṭā leṅge
jo gīt nahīṅ ham hoṅṭhoṅ par ā pāyā āj
vo gīt chalo kal gā leṅge

kal zakhm ye sab bhar jāyeṅge
ye āj ḍabo lo aśhqoṅ meṅ
kal jab khuśhiyāṇ ghar āyeṅgī
ham jī bhar kar muskā leṅge
jo āj gṇvāyā hai hamne
kal usse behtar pā leṅge

jo kuchh hotā hai āj use ho jāne do
kal sab achchhā ho jāyegā
har zakhm har ik dukh dard alam
so jāyegā kho jāyegā
par jān merī kal āyegā