आधी रात को ये दुनिया वाले
आधी रात को ये दुनिया वाले जब ख़ाबों में खो जाते हैं
ऐसे में मुहब्बत के रोगी यादों के चराग़ जलाते हैं
करते हैं मुहब्बत सब ही मगर हर दिल को सिला कब मिलता है
आतीं हैं बहारें गुलशन में हर फूल मगर कब खिलता है
मैं राँझा न था तू हीर न थी हम अपना प्यार निभा न सके
यूँ प्यार के ख़्वाब बहुत देखे ताबीर मगर हम पा न सके
मैंने तो बहुत चाहा लेकिन तू रख ना सकी वादों का भरम
अब रह रह कर याद आता है जो तूने किया इस दिल पे सितम
पर्दा जो हटा दूँ चेहरे से तुझे लोग कहेंगे हरजाई
मजबूर हूँ मैं दिल के हाथों मन्ज़ूर नहीं तेरी रुस्वाई
सोचा है के अपने होंठों पर मैं चुप की मोहर लगा लूँगा
मैं तेरी सुलगती यादों से अब इस दिल को बहला लूँगा
ādhī rāt ko ye duniyā vāle jab khāboṅ meṅ kho jāte haiṅ
aise meṅ muhabbat ke rogī yādoṅ ke charāġh jalāte haiṅ
karte haiṅ muhabbat sab hī magar har dil ko silā kab miltā hai
ātīṅ haiṅ bahāreṅ gulaśhan meṅ har phūl magar kab khiltā hai
maiṅ rāṇjhā na thā tū hīr na thī ham apnā pyār nibhā na sake
yūṇ pyār ke khvāb bahut dekhe tābīr magar ham pā na sake
maiṅne to bahut chāhā lekin tū rakh nā sakī vādoṅ kā bharam
ab rah rah kar yād ātā hai jo tūne kiyā is dil pe sitam
pardā jo haṭā dūṇ chehre se tujhe log kaheṅge harjāī
majbūr hūṇ maiṅ dil ke hāthoṅ manzūr nahīṅ terī rusvāī
sochā hai ke apne hoṅṭhoṅ par maiṅ chup kī mohar lagā lūṇgā
maiṅ terī sulagtī yādoṅ se ab is dil ko bahlā lūṇgā