sabse baṛā nādān vohī hai jo samjhe nādān mujhe
kaun kaun kitne pānī meṅ sabkī hai pahchān mujhe
daulat hai tere kadmoṅ meṅ, kismat hai tere hāthoṅ meṅ
khuśhiyāṇ haiṅ terī palkoṅ meṅ, mastī hai terī āṇkhoṅ meṅ
sab kuchh tujhko mālik ne diyā maiṅ tujhko kyā de saktā hūṇ
ek rūp ko bheṅṭ kī riśhvat denā lagtā hai apmān mujhe
kaun kaun kitne pānī meṅ sabkī hai pahchān mujhe
koī śhān kī khātir paise ko pānī kī tarah bahātā hai
kahīṅ bin kīmat mālik kā diyā pānī paise se biktā hai
is sabhā kī suṅdar chehroṅ se raunak to baḍhtī hai lekin
raunak vāle chehroṅ ke pīchhe mile haiṅ dil sunsān mujhe
kaun kaun kitne pānī meṅ sabkī hai pahchān mujhe
dharm karm sabhytā maryādā nazar nā āī mujhe kahīṅ
gītā jñān kī bāteṅ dekho āj kisī ko yād nahīṅ
māf mujhe kar denā bhāīyoṅ jhūṭh nahīṅ maiṅ bolūṇgā
vohī kahūṇgā āp se gītā se milā hai jñān mujhe
kaun kaun kitne pānī meṅ sabkī hai pahchān mujhe