Title (Indic)मेरे दुश्मन मेरे भाई मेरे हमसाए WorkBorder Year1997 LanguageHindi Credits Role Artist Music Anu Malik Performer Hariharan Writer Javed Akhtar LyricsHindiजंग जो चंद रोज़ होती है ज़िंदगी बरसों तलक रोती है सन्नाटे की गहरी छांव खामोशी से जलते पांव ये नदियों पर टूटे हुए पुल धरती घायल है व्याकुल ये खेत बमों से झूलते हुए ये खाली रस्ते सहमें हुए ये मातम करता सारा समां ये जलते घर ये काला धुआं हो हो हो मेरे दुश्मन मेरे भाई मेरे हमसाए मुझसे तुझसे हम दोनों से ये जलते घर कुछ कहते हैं बरबादी के सारे मंज़र कुछ कहते हैं हाय मेरे दुश्मन मेरे भाई … बारूद से बोझल सारी फ़िज़ां है मौत की बू फैलती हवा ज़ख्मों पे है छाई लाचारी गलियों में है फिरती बीमारी ये मरते बच्चे हाथों में ये माँओं का रोना रातों में मुरदा बस्ती मुरदा है नगर चेहरे पत्थर हैं दिल पत्थर मेरे दुश्मन मेरे भाई … जलते घर बरबादी के सारे मंज़र सब मेरे नगर सब तेरे नगर ये कहते हैं इस सरहद पर फुंफकारेगा कब तक नफ़रत का ये अजगर हम अपने अपने खेतों में गेनूं की जगह चावल की जगह बंदूकें क्यों बोते हैं जब दोनों ही की गलियों में कुछ भूखे बच्चे रोते हैं Englishjaṅg jo chaṅd roz hotī hai ziṅdgī barsoṅ talak rotī hai sannāṭe kī gahrī chhāṅv khāmośhī se jalte pāṅv ye nadiyoṅ par ṭūṭe hue pul dhartī ghāyal hai vyākul ye khet bamoṅ se jhūlte hue ye khālī raste sahmeṅ hue ye mātam kartā sārā samāṅ ye jalte ghar ye kālā dhuāṅ ho ho ho mere duśhman mere bhāī mere hamsāe mujhse tujhse ham donoṅ se ye jalte ghar kuchh kahte haiṅ barbādī ke sāre maṅzar kuchh kahte haiṅ hāy mere duśhman mere bhāī … bārūd se bojhal sārī fizāṅ hai maut kī bū phailtī havā zakhmoṅ pe hai chhāī lāchārī galiyoṅ meṅ hai phirtī bīmārī ye marte bachche hāthoṅ meṅ ye māṇoṅ kā ronā rātoṅ meṅ murdā bastī murdā hai nagar chehre patthar haiṅ dil patthar mere duśhman mere bhāī … jalte ghar barbādī ke sāre maṅzar sab mere nagar sab tere nagar ye kahte haiṅ is sarahad par phuṅphkāregā kab tak nafrat kā ye ajgar ham apne apne khetoṅ meṅ genūṅ kī jagah chāval kī jagah baṅdūkeṅ kyoṅ bote haiṅ jab donoṅ hī kī galiyoṅ meṅ kuchh bhūkhe bachche rote haiṅ