saṅdese āte haiṅ hameṅ taṛpāte haiṅ
jo chiṭṭhī ātī hai vo pūchhe jātī hai
ki ghar kab āoge likho kab āoge
ki tum bin ye ghar sūnā sūnā hai
kisī dilvālī ne kisī matvālī ne
hameṅ khat likhā hai ye hamse pūchhā hai
kisī kī sāṇsoṅ ne kisī kī dhaṛkan ne
kisī kī chūṛī ne kisī ke kaṅgan ne
kisī ke kajre ne kisī ke gajre ne
mahaktī subhoṅ ne machaltī śhāmoṅ ne
akelī rātoṅ meṅ adhūrī bātoṅ ne
tarastī bāhoṅ ne
aur pūchhā hai tarsī nigāhoṅ ne
ki ghar kab āoge likho kab āoge
ki tum bin ye dil sūnā sūnā hai
saṅdese āte haiṅ …
muhabbat vāloṅ ne hamāre yāroṅ ne
hameṅ ye likhā hai ki hamse pūchhā hai
hamāre gāṅvoṅ ne ām kī chhāṅvoṅ ne
purāne pīpal ne baraste bādal ne
khet khaliyānoṅ ne hare maidānoṅ ne
basantī meloṅ ne jhūmtī beloṅ ne
lachakte jhūloṅ ne dahakte phūloṅ ne
chaṭaktī kaliyoṅ ne
aur pūchhā hai gāṅv kī galiyoṅ ne
ki ghar kab āoge likho kab āoge
ki tum bin gāṅv sūnā sūnā hai
saṅdese āte haiṅ …
kabhī ek mamtā kī pyār kī gaṅgā kī
jo chiṭṭhī ātī hai sāth vo lātī hai
mere din bachapan ke khel vo āṅgan ke
vo sāyā āṅchal kā vo ṭīkā kājal kā vo
lorī rātoṅ meṅ vo narmī hāthoṅ meṅ
vo chāhat āṇkhoṅ meṅ ve chiṅtā bātoṅ meṅ
bigaṛnā ūpar se muhabbat aṅdar se
kare vo devī māṇ
yahī har khet meṅ pūchhe merī māṇ
ki ghar kab āoge
ki tum bin āṅgan sūnā sūnā hai
ai gujarne vālī havā batā
merā itnā kām karegī kyā
mere gāṅv jā mere dostoṅ ko salām de
mere gāṅv meṅ hai jo vo galī
jahāṅ rahtī hai merī dilrubā
use mere pyār kā jām de
vahāṅ thoṛī dūr hai ghar merā
mere ghar meṅ hai merī būṛhī māṇ
merī māṇ ke pairoṅ ko chhū use uske beṭe kā nām de
ai gujarne vālī havā zarā
mere dostoṅ merī dilrubā merī māṇ ko merā payām de
unheṅ jā ke tū ye payām de
maiṅ vāpas āūṅgā phir apne gāṅv meṅ
usī kī chhāṅv meṅ ki māṇ ke āṇchal se
gāṅv kī pīpal se kisī ke kājal se
kiyā jo vādā hai vo nibhāūṅgā
maiṅ ek din āūṅgā