saṅdese āte haiṅ hameṅ taṛpāte haiṅ
jo chiṭṭhī ātī hai vo pūchhe jātī hai
ke ghar kab āoge likho kab āoge
ke tum bin ye ghar sūnā sūnā hai
kisī dilvālī ne, kisī matvālī ne
hameṅ khat likhā hai, ye hamse pūchhā hai
kisī kī sāṇsoṅ ne, kisī kī dhaṛkan ne
kisī kī chūṛī ne, kisī ke kaṅgan ne
kisī ke kajre ne, kisī ke gajre ne
mahaktī subhoṅ ne, machaltī śhāmoṅ ne
akelī rātoṅ meṅ, adhūrī bātoṅ ne
tarastī bāhoṅ ne aur pūchhā hai tarsī nigāhoṅ ne
ke ghar kab āoge likho kab āoge
ke tum bin ye ghar sūnā sūnā hai
saṅdese āte haiṅ ...
mohabbatvāloṅ ne, hamāre yāroṅ ne
hameṅ ye likhā hai ki hamse pūchhā hai
hamāre gāṇvoṅ ne, ām kī chhāṅvoṅ ne
purāne pīpal ne, baraste bādal ne
khet khaliyānoṅ ne, hare maidānoṅ ne
basaṅtī meloṅ ne, jhūmtī beloṅ ne
lachakte jhūloṅ ne, dahakte phūloṅ ne
chaṭaktī kaliyoṅ ne aur pūchhā hai gāṇv kī galiyoṅ ne
ke ghar kab āoge likho kab āoge
ke tum bin gāṇv sūnā sūnā hai
saṅdese āte haiṅ ...
kabhī ek mamtā kī, pyār kī gaṅgā kī
jo chiṭṭhī ātī hai, sāth vo lātī hai
mere din bachapan ke, khel vo āṅgan ke
vo sāyā āṅchal kā, vo ṭīkā kājal kā
vo lorī rātoṅ meṅ, vo narmī hāthoṅ meṅ
vo chāhat āṇkhoṅ meṅ, vo chiṅtā bātoṅ meṅ
bigaṛnā ūpar se, mohabbat aṅdar se kare vo devī māṇ
yahī har khat meṅ pūchhe merī māṇ
ke ghar kab āoge likho kab āoge
ke tum bin āṇgan sūnā sūnā hai
ai gujarne vālī havā batā
merā itnā kām karegī kyā
mere gāṇv jā, mere dostoṅ ko salām de
mere gāṇv meṅ hai jo vo galī
jahāṇ rahtī hai merī dilrubā
use mere pyār kā jām de
vahīṅ thoṛī dūr hai ghar merā
mere ghar meṅ hai merī būṛhī māṇ
merī māṇ ke pairoṅ ko chhūṇ ke tū use uske beṭe kā nām de
ai gujarnevālī havā zarā
mere dostoṅ merī dilrubā merī māṇ ko merā payām de
unheṅ jā ke tū ye payām de
maiṅ vāpas āūṅgā phir apne gāṇv meṅ
usī kī chhāṅv meṅ, ke māṇ ke āṇchal se
gāṇv kī pīpal se kisī ke kājal se
kiyā jo vādā thā vo nibhāūṅgā
maiṅ ek din āūṅgā