ma: is iśhq-o-muhabbat kī, kuchh haiṅ ajīb rasmeṅ
kabhī jīne ke vāde, kabhī marne kī kasmeṅ
fa: na ye tere bas meṅ, na ye mere bas meṅ
kabhī jīne ke vāde, kabhī marne kī kasmeṅ
ma: kabhī iṅtazār karte, barsāt kī rātoṅ meṅ
kabhī rāt guzar jāe, bātoṅ hī bātoṅ meṅ
fa: ik dard machaltā hai, is dil kī nas-nas meṅ
kabhī jīne ke vāde, kabhī marne kī kasmeṅ
fa: ġhar hamko judā kar deṅ, ik bār jahāṇ ke sitam
har bār janam lekar, har bār mileṅge ham
ma: yūṇ ahad-e-vafā kar leṅ, ā milkar āpas meṅ
kabhī jīne ke vāde, kabhī marne kī kasmeṅ
ma: maiṅ terī mohabbat meṅ, har rasm nibhā dūṇgā
apnī nīṇdeṅ dekar, tere khvāb sajā dūṇgā
fa: aisā hī hotā hai, jab dil na rahe bas meṅ
kabhī jīne ke vāde, kabhī marne kī kasmeṅ
% -- ṣhaśhikhant zośhi urf Pintu ḍivn