Zindgee zindgee mere ghar aanaa, aanaa zindgee

ज़िंदगी ज़िंदगी मेरे घर आना, आना ज़िंदगी
Work
Year
Language

भू: ज़िंदगी ज़िंदगी मेरे घर आना - आना ज़िंदगी
ज़िंदगी मेरे घर आना - आना ज़िंदगी
अ: ज़िंदगी ओ ज़िंदगी मेरे घर आना - आना
मेरे घर आना
अ/भू: ज़िंदगी ज़िंदगी मेरे घर आना - आना ज़िंदगी

भू: मेरे घर का सीधा सा इतना पता है
ये घर जो है चारों तरफ़ से खुला है
न दस्तक ज़रूरी, ना आवाज़ देना
मेरे घर का दरवाज़ा कोई नहीं है
हैं दीवारें गुम और छत भी नहीं है
बड़ी धूप है दोस्त
खड़ी धूप है दोस्त
तेरे आंचल का साया चुरा के जीना है जीना
जीना ज़िंदगी, ज़िंदगी
अ: ओ ज़िंदगी मेरे घर आना
अ/भू: आना ज़िंदगी - ज़िंदगी मेरे घर आना

अ: मेरे घर का सीधा सा इतना पता है
मेरे घर के आगे मुहब्बत लिखा है
न दस्तक ज़रूरी, न आवाज़ देना
मैं सांसों की रफ़्तार से जान लूंगी
हवाओं की खुशबू से पहचान लूंगी
तेरा फूल हूँ दोस्त
तेरी भूल हूँ दोस्त
तेरे हाथों में चेहरा छुपा के जीना है जीना
जीना ज़िंदगी, ज़िंदगी
भू: ओ ज़िंदगी मेरे घर आना
अ/भू: आना ज़िंदगी - ज़िंदगी मेरे घर आना

भू: मगर अब जो आना तो दीरे से आना
ज़माने की शहज़ादी सोई हुई है
ये परियों के सपनों में खोई हुई है
बहुत ख़ूब है ये, तेरा रूप है ये
तेरे आँचल में तेरे दामन में
तेरे आँखों में तेरी पल्कों में
तेरे कदमों इसको बिठाके
जीना है, जीना है
जीना ज़िंदगी, ज़िंदगी
अ: ओ ज़िंदगी मेरे घर आना
अ/भू: आना ज़िंदगी - ज़िंदगी मेरे घर आना

bhū: ziṅdgī ziṅdgī mere ghar ānā - ānā ziṅdgī
ziṅdgī mere ghar ānā - ānā ziṅdgī
a: ziṅdgī o ziṅdgī mere ghar ānā - ānā
mere ghar ānā
a/bhū: ziṅdgī ziṅdgī mere ghar ānā - ānā ziṅdgī

bhū: mere ghar kā sīdhā sā itnā patā hai
ye ghar jo hai chāroṅ taraf se khulā hai
na dastak zarūrī, nā āvāz denā
mere ghar kā darvāzā koī nahīṅ hai
haiṅ dīvāreṅ gum aur chhat bhī nahīṅ hai
baṛī dhūp hai dost
khaṛī dhūp hai dost
tere āṅchal kā sāyā churā ke jīnā hai jīnā
jīnā ziṅdgī, ziṅdgī
a: o ziṅdgī mere ghar ānā
a/bhū: ānā ziṅdgī - ziṅdgī mere ghar ānā

a: mere ghar kā sīdhā sā itnā patā hai
mere ghar ke āge muhabbat likhā hai
na dastak zarūrī, na āvāz denā
maiṅ sāṅsoṅ kī raftār se jān lūṅgī
havāoṅ kī khuśhbū se pahchān lūṅgī
terā phūl hūṇ dost
terī bhūl hūṇ dost
tere hāthoṅ meṅ chehrā chhupā ke jīnā hai jīnā
jīnā ziṅdgī, ziṅdgī
bhū: o ziṅdgī mere ghar ānā
a/bhū: ānā ziṅdgī - ziṅdgī mere ghar ānā

bhū: magar ab jo ānā to dīre se ānā
zamāne kī śhahazādī soī huī hai
ye pariyoṅ ke sapnoṅ meṅ khoī huī hai
bahut khūb hai ye, terā rūp hai ye
tere āṇchal meṅ tere dāman meṅ
tere āṇkhoṅ meṅ terī palkoṅ meṅ
tere kadmoṅ isko biṭhāke
jīnā hai, jīnā hai
jīnā ziṅdgī, ziṅdgī
a: o ziṅdgī mere ghar ānā
a/bhū: ānā ziṅdgī - ziṅdgī mere ghar ānā