Zindgee men jeete jeete marnaa zaroor thaa

ज़िन्दगी में जीते जीते मरना ज़रूर था
Work
Year
Language

ज़िन्दगी में जीते जीते मरना ज़रूर था
तुम मिल गए हो हो हो हो
तुम मिल गए हो प्यार करना ज़रूर था

ये सबका है ख़्याल है उम्र का सवाल
इस जिस्म से तुम ही कहो दिल कैसे दें निकाल
हालात के तूफ़ां से गुज़रना ज़रूर था
तुम मिल गए हो …

दुनिया बदल गई हर चीज़ मिल गई
लगता है हर ख़ुशी मेरी क़िस्मत में ढल गई
मुझको तुम्हारे दिल में उतरना ज़रूर था
तुम मिल गए हो …

zindgī meṅ jīte jīte marnā zarūr thā
tum mil gae ho ho ho ho
tum mil gae ho pyār karnā zarūr thā

ye sabkā hai khyāl hai umr kā savāl
is jism se tum hī kaho dil kaise deṅ nikāl
hālāt ke tūfāṅ se guzarnā zarūr thā
tum mil gae ho …

duniyā badal gaī har chīz mil gaī
lagtā hai har khuśhī merī qismat meṅ ḍhal gaī
mujhko tumhāre dil meṅ utarnā zarūr thā
tum mil gae ho …