Zindgee ko naee zindgee mil gaee

ज़िन्दगी को नई ज़िन्दगी मिल गई
Work
Year
Language

उ: ज़िन्दगी को नई ज़िन्दगी मिल गई
एक शमा की जिसे आरज़ू थी उसे चाँदनी ही मिल गई
ज़िन्दगी को नई ज़िन्दगी मिल गई

चाहा था साथी सनम तुम जैसा तुम्हारी क़सम
ख़िज़ा छटते-छटते बहार आ गई
मुझे मेरी मंज़िल नज़र आ गई
दिल के तारों को जो छेड़ दे प्यार से रागिनी वो मिल गई
सो: ज़िन्दगी को नई ज़िन्दगी मिल गई
ख़ाब में जिसको मैं सोचती थी कभी आशिक़ी वो मिल गई
ज़िन्दगी को नई ज़िन्दगी मिल गई

साँसों में तूफ़ान है तू भी अभी अनजान है
जो ख़्वाहिश है उनसे भी ज़्यादा करें
जहाँ को भुलाने का वादा करें
हमने सोचा जहाँ आशियाँ हो वहाँ इक नदी भी मिल गई
उ: पा के तुमको मुझे हर ख़ुशी मिल गई
रात तारों भरी और मुझे शाम भी
सो: सुरमई सी मिल गई

u: zindgī ko naī zindgī mil gaī
ek śhamā kī jise ārazū thī use chāṇdnī hī mil gaī
zindgī ko naī zindgī mil gaī

chāhā thā sāthī sanam tum jaisā tumhārī qasam
khizā chhaṭte-chhaṭte bahār ā gaī
mujhe merī maṅzil nazar ā gaī
dil ke tāroṅ ko jo chheṛ de pyār se rāginī vo mil gaī
so: zindgī ko naī zindgī mil gaī
khāb meṅ jisko maiṅ sochtī thī kabhī āśhiqī vo mil gaī
zindgī ko naī zindgī mil gaī

sāṇsoṅ meṅ tūfān hai tū bhī abhī anjān hai
jo khvāhiśh hai unse bhī zyādā kareṅ
jahāṇ ko bhulāne kā vādā kareṅ
hamne sochā jahāṇ āśhiyāṇ ho vahāṇ ik nadī bhī mil gaī
u: pā ke tumko mujhe har khuśhī mil gaī
rāt tāroṅ bharī aur mujhe śhām bhī
so: surmaī sī mil gaī