Zindgee haath milaa ... do qadam aur sahee

ज़िंदगी हाथ मिला ... दो क़दम और सही
Year
Language

ज़िंदगी हाथ मिला

साथ चल साथ में आ

उम्र भर साथ रही

हे हे-हे
दो क़दम और सही -4

कोई सूरज की डगर

कोई सोने का नगर

चाँद के रथ पे चले

जहाँ ठहरे ये नज़र

धूप दरियाओं में है

फिर सफ़र पाँवों में है

दिल का आवारा दिया

दूसरे गाँवों में है

आओ चलें हम वहीं

दो क़दम और सही -4

ख़ाब ढलते हैं जहाँ

दिल पिघलते हैं जहाँ

आओ चलते हैं वहीं

वो ज़मीं दूर नहीं

दोस्ती होगी वहाँ

रोशनी होगी वहाँ

उस उजाले के लिये

जल चुके लाखों दिये

एक हम और सही

दो क़दम और सही -4

किस की आवाज़ है सुन

ये नया साज़ है सुन

कौन देता है सदा

चल के देखें तो ज़रा

राह वीरान सही

रात सुनसान सही

हर घड़ी साथ रहे

कितने ग़म साथ सहे

थोड़े ग़म और सही

दो क़दम और सही -4

ziṅdgī hāth milā

sāth chal sāth meṅ ā

umr bhar sāth rahī

he he-he
do qadam aur sahī -4

koī sūraj kī ḍagar

koī sone kā nagar

chāṇd ke rath pe chale

jahāṇ ṭhahre ye nazar

dhūp dariyāoṅ meṅ hai

phir safar pāṇvoṅ meṅ hai

dil kā āvārā diyā

dūsre gāṇvoṅ meṅ hai

āo chaleṅ ham vahīṅ

do qadam aur sahī -4

khāb ḍhalte haiṅ jahāṇ

dil pighalte haiṅ jahāṇ

āo chalte haiṅ vahīṅ

vo zamīṅ dūr nahīṅ

dostī hogī vahāṇ

rośhnī hogī vahāṇ

us ujāle ke liye

jal chuke lākhoṅ diye

ek ham aur sahī

do qadam aur sahī -4

kis kī āvāz hai sun

ye nayā sāz hai sun

kaun detā hai sadā

chal ke dekheṅ to zarā

rāh vīrān sahī

rāt sunsān sahī

har ghaṛī sāth rahe

kitne ġham sāth sahe

thoṛe ġham aur sahī

do qadam aur sahī -4