ज़िंदगी एक गीत है इसे होंठों पे सजाले
ज़िंदगी एक गीत है इसे होंठों पे सजा ले
ग़म हो या खुशी हो प्यार से गुनगुना ले
दिन हो या रात हो दिल की ही बात हो
कोई न जो साथ हो गाए जा
ज़िंदगी एक गीत है …
दिल की ये धड़कन गाए ग म प म ध प रे म ग
दुनिया जिसे दोहराए नग़में ऐसे तू सुना
धूप में छांव में सपनों के गांव में
प्यार की बाहों में गाए जा
ज़िंदगी एक गीत है …
सात सुरों का संगम हो जाए तो बने सरगम
खिले फूल से हम तुम महके खुश्बू हरदम
तू है मेरा जिगर तू है मेरी नज़र
तू मेरा हमसफ़र गाए जा
ज़िंदगी एक गीत है …
ziṅdgī ek gīt hai ise hoṅṭhoṅ pe sajā le
ġham ho yā khuśhī ho pyār se gungunā le
din ho yā rāt ho dil kī hī bāt ho
koī na jo sāth ho gāe jā
ziṅdgī ek gīt hai …
dil kī ye dhaṛkan gāe ga ma pa ma dha pa re ma ga
duniyā jise dohrāe naġhmeṅ aise tū sunā
dhūp meṅ chhāṅv meṅ sapnoṅ ke gāṅv meṅ
pyār kī bāhoṅ meṅ gāe jā
ziṅdgī ek gīt hai …
sāt suroṅ kā saṅgam ho jāe to bane sargam
khile phūl se ham tum mahke khuśhbū hardam
tū hai merā jigar tū hai merī nazar
tū merā hamasafar gāe jā
ziṅdgī ek gīt hai …