Zaraa see baat kaa huzoor ne fasaanaa kar diyaa

ज़रा सी बात का हुज़ूर ने फ़साना कर दिया
Year
Language

ज़रा सी बात का हुज़ूर ने फ़साना कर दिया
ऐसे रूठे हो जि सैंय्या कि दीवाना कर दिया

मुखसे न बोली, मैं तो यूँ ही ज़रा बन के
इतनी सी बात पे जी चल दिये तन के
बस इतनी बात का हुज़ूर ने फ़साना कर दिया
ऐसे रूठे हो …

प्यार में तेरे ऐसे जिया मोरा धड़के
कहनी पड़ी है दिल की बात नज़र से
नज़र की बात का, हुज़ूर ने फ़साना कर दिया
ऐसे रूठे हो …

जब से लगायी तोरे प्यार की बिन्दिया
चैन दिनों का खोया, रातों की निन्दिया
मेरे दिन रात का हुज़ूर ने फ़साना कर दिया
ऐसे रूठे हो …

zarā sī bāt kā huzūr ne fasānā kar diyā
aise rūṭhe ho ji saiṅyyā ki dīvānā kar diyā

mukhse na bolī, maiṅ to yūṇ hī zarā ban ke
itnī sī bāt pe jī chal diye tan ke
bas itnī bāt kā huzūr ne fasānā kar diyā
aise rūṭhe ho …

pyār meṅ tere aise jiyā morā dhaṛke
kahnī paṛī hai dil kī bāt nazar se
nazar kī bāt kā, huzūr ne fasānā kar diyā
aise rūṭhe ho …

jab se lagāyī tore pyār kī bindiyā
chain dinoṅ kā khoyā, rātoṅ kī nindiyā
mere din rāt kā huzūr ne fasānā kar diyā
aise rūṭhe ho …