Zameen aasmaan mil jaaen ... yaaraanaa yaar kaa naa kabhee

ज़मीं आसमां मिल जाएं ... याराना यार का ना कभी
Work
Year
Language

ज़मीं आसमां मिल जाएं ये तो फिर भी मुमकिन है
मगर एक यार दुनिया में बड़ी मुश्किल से मिलता है

याराना यार का ना कभी छूटेगा
तेरा नाम ले लेकर मेरा दम टूटेगा
याराना यार का …

जहाँ गिरे पसीना तेरा मैं तो ख़ून बहा दूँगा
तू ही तू है दिल में मेरे चीर के दिल दिखला दूँगा
कि रूठूँ जो तुझसे मैं तो ख़ुदा रूठेगा
तेरा नाम ले लेकर …

एक हैं अपने सपने साथी तू जाने मैं जानूँ
अपने दिल के नेक इरादे चेहरे से पहचानूँ
अपना प्यार मेरे यार कोई क्‌या लूटेगा
तेरा नाम ले लेकर …

zamīṅ āsmāṅ mil jāeṅ ye to phir bhī mumkin hai
magar ek yār duniyā meṅ baṛī muśhkil se miltā hai

yārānā yār kā nā kabhī chhūṭegā
terā nām le lekar merā dam ṭūṭegā
yārānā yār kā …

jahāṇ gire pasīnā terā maiṅ to khūn bahā dūṇgā
tū hī tū hai dil meṅ mere chīr ke dil dikhlā dūṇgā
ki rūṭhūṇ jo tujhse maiṅ to khudā rūṭhegā
terā nām le lekar …

ek haiṅ apne sapne sāthī tū jāne maiṅ jānūṇ
apne dil ke nek irāde chehre se pahchānūṇ
apnā pyār mere yār koī k‌yā lūṭegā
terā nām le lekar …