Zamaane ke dekhe hain rang hazaar naheen kuchh sivaa pyaar ke

ज़माने के देखे हैं रंग हज़ार नहीं कुछ सिवा प्यार के
Work
Year
Language

ज़माने के देखे हैं रंग हज़ार नहीं कुछ सिवा प्यार के

तू है सनम मेरी पहली मुहब्बत तुझ पे लुटा दूं मैं दुनिया की चाहत
ज़ुल्फ़ों के साये में जीना है मुझको दिल की पनाहों में रखूंगा तुझको
इस बेकरारी में आये करार
नहीं कुछ सिवा …

आ के तू लग जा गले मेरे यार
नहीं कुछ सिवा …

चाहत का रंगीन अरमान बन के तुम दिल में रहना मेरी जान बन के
तेरी मुहब्बर में मैं हूँ दीवानी तेरी अमानत ये ज़िंदगानी
हर साँस मेरी है तुझ पे निसार
नहीं कुछ सिवा …

zamāne ke dekhe haiṅ raṅg hazār nahīṅ kuchh sivā pyār ke

tū hai sanam merī pahlī muhabbat tujh pe luṭā dūṅ maiṅ duniyā kī chāhat
zulfoṅ ke sāye meṅ jīnā hai mujhko dil kī panāhoṅ meṅ rakhūṅgā tujhko
is bekrārī meṅ āye karār
nahīṅ kuchh sivā …

ā ke tū lag jā gale mere yār
nahīṅ kuchh sivā …

chāhat kā raṅgīn armān ban ke tum dil meṅ rahnā merī jān ban ke
terī muhabbar meṅ maiṅ hūṇ dīvānī terī amānat ye ziṅdgānī
har sāṇs merī hai tujh pe nisār
nahīṅ kuchh sivā …