Parh-likh ke baraa ho ke too ek kitaab likhnaa

पढ़-लिख के बड़ा हो के तू एक किताब लिखना
Work
Year
Language

( पढ़-लिख के बड़ा हो के तू एक किताब लिखना
अपने सवालों का तू ख़ुद ही जवाब लिखना ) -2

को: आ आ आ

हाथों से जिनका दामन एक दिन है छूट जाना
तारों के डूबते ही जिनको है टूट जाना
ये आँखें देखती हैं क्‌यूँ ऐसे ख़्वाब लिखना
अपने सवालों का तू ख़ुद ही जवाब लिखना

हा आ आ

मैने तो प्यार को ही मज़हब बना लिया है
इस दिल को दिल की दुनिया का रब बना लिया है
ईमान हो गया क्‌या मेरा ख़राब लिखना
अपने सवालों का तू ख़ुद ही जवाब लिखना

को: हा आ आ

कहते हैं लोग उनकी रसमों को मैने तोड़ा
ये फ़ैसला भी मैने तेरी समझ पे छोड़ा
मेरी ख़ताओं का तू पूरा हिसाब लिखना

( paṛh-likh ke baṛā ho ke tū ek kitāb likhnā
apne savāloṅ kā tū khud hī javāb likhnā ) -2

ko: ā ā ā

hāthoṅ se jinkā dāman ek din hai chhūṭ jānā
tāroṅ ke ḍūbte hī jinko hai ṭūṭ jānā
ye āṇkheṅ dekhtī haiṅ k‌yūṇ aise khvāb likhnā
apne savāloṅ kā tū khud hī javāb likhnā

hā ā ā

maine to pyār ko hī mazhab banā liyā hai
is dil ko dil kī duniyā kā rab banā liyā hai
īmān ho gayā k‌yā merā kharāb likhnā
apne savāloṅ kā tū khud hī javāb likhnā

ko: hā ā ā

kahte haiṅ log unkī rasmoṅ ko maine toṛā
ye faislā bhī maine terī samajh pe chhoṛā
merī khatāoṅ kā tū pūrā hisāb likhnā