Zabaanen badalte hain, har aan khoobaan

ज़बानें बदलते हैं, हर आन ख़ूबां
Work
Year
Language

ज़बानें बदलते हैं, हर आन ख़ूबां, आर आन ख़ूबां
यह सब कुछ हैं बिगड़े ज़माने की बातें
बिगड़े ज़माने की बातें -2
ज़बानें बदलते हैं …

हमें ग़ैरों कवा (???) से क्‌या गुफ़्तगू है
चली जाती हैं यह सुनने की बातें
सुनने की बातें …
बिगड़ भी चुके यार से हम तो यारों
करो कुछ अब उसे, उसे बनाने की बातें
ज़बानें बदलते हैं …

किया सैर कल मैन्ने दीवाने मजनू
ख़ुश आई बहुत उस दीवाने की बातें
दीवाने दी बातें, उस दीवाने की बातें
ज़बानें बदलते हैं …

zabāneṅ badalte haiṅ, har ān khūbāṅ, ār ān khūbāṅ
yah sab kuchh haiṅ bigaṛe zamāne kī bāteṅ
bigaṛe zamāne kī bāteṅ -2
zabāneṅ badalte haiṅ …

hameṅ ġhairoṅ kavā (???) se k‌yā guftgū hai
chalī jātī haiṅ yah sunne kī bāteṅ
sunne kī bāteṅ …
bigaṛ bhī chuke yār se ham to yāroṅ
karo kuchh ab use, use banāne kī bāteṅ
zabāneṅ badalte haiṅ …

kiyā sair kal mainne dīvāne majnū
khuśh āī bahut us dīvāne kī bāteṅ
dīvāne dī bāteṅ, us dīvāne kī bāteṅ
zabāneṅ badalte haiṅ …