यूँ रूठो ना हसीना मेरी जान पे बन जाएगी
यूँ रूठो ना हसीना मेरी जान पे बन जाएगी
मेरी जान पे बन जाएगी यूँ रूठो ना हसीना
करते न जो बहाना नज़दीक कैसे आते
ये फ़ासला ये दूरी हम किस तरह मिटाते
हाथों में तुम न लेते जब हाथ ही हमारा
इस बेक़रार दिल को मिलता कहाँ सहारा -2
हाय यूँ रूठो ना …
ये बाल बिखरे-बिखरे गालों पे यूँ न होते
ये नाग काले-काले फूलों में यूँ न सोते
ये रात का अन्धेरा दिन से गले न मिलता
उल्फ़त का शोख़ गुंचा ऐसे न दिल में खिलता -2
हाय यूँ रूठो ना …
आओ करीब आओ पलकों पे बैठ जाओ
आँखों में झूम जाओ दिल में मेरे समाओ
अब मुस्करा के कह दो हम तो ख़फ़ा नहीं हैं
एक दिल है एक जाँ है हम-तुम जुदा नहीं हैं -2
हाय यूँ रूठो ना …
yūṇ rūṭho nā hasīnā merī jān pe ban jāegī
merī jān pe ban jāegī yūṇ rūṭho nā hasīnā
karte na jo bahānā nazdīk kaise āte
ye fāslā ye dūrī ham kis tarah miṭāte
hāthoṅ meṅ tum na lete jab hāth hī hamārā
is beqrār dil ko miltā kahāṇ sahārā -2
hāy yūṇ rūṭho nā …
ye bāl bikhre-bikhre gāloṅ pe yūṇ na hote
ye nāg kāle-kāle phūloṅ meṅ yūṇ na sote
ye rāt kā andherā din se gale na miltā
ulfat kā śhokh guṅchā aise na dil meṅ khiltā -2
hāy yūṇ rūṭho nā …
āo karīb āo palkoṅ pe baiṭh jāo
āṇkhoṅ meṅ jhūm jāo dil meṅ mere samāo
ab muskrā ke kah do ham to khafā nahīṅ haiṅ
ek dil hai ek jāṇ hai ham-tum judā nahīṅ haiṅ -2
hāy yūṇ rūṭho nā …