Yoon rah rah kar hamen tarsaaye

यूँ रह रह कर हमें तरसाये
Work
Language

यूँ न रह रह कर हमें तरसाये
आये आ जाये आ जाये

फिर वही दानिस्ता ठोकर खाये
फिर मेरी आग़ोश में गिर जाये

मेरी दुनिया मुन्तज़िर है आपकी
अपनी दुनिया चोड़ कर आ जाये

ये हवा `सागर्' ये हल्की चाँदनी
जी में आता है यहीं मर जाये

yūṇ na rah rah kar hameṅ tarsāye
āye ā jāye ā jāye

phir vahī dānistā ṭhokar khāye
phir merī āġhośh meṅ gir jāye

merī duniyā muntazir hai āpkī
apnī duniyā choṛ kar ā jāye

ye havā `sāgar' ye halkī chāṇdnī
jī meṅ ātā hai yahīṅ mar jāye