Ye zulf agar khul ke bikhar jaae to achchhaa

ये ज़ुल्फ़ अगर खुल के बिखर जाए तो अच्छा
Work
Year
Language

ये ज़ुल्फ़ अगर खुल के बिखर जाए तो अच्छा
इस रात की तक़दीर सँवर जाए तो अच्छा
ये ज़ुल्फ़ …

जिस तरह से थोड़ी सी तेरे साथ कटी है
बाक़ी भी उसी तरह गुज़र जाए तो अच्छा
ये ज़ुल्फ़ …

दुनिया की निगाहों में बुरा क्‌या है भला क्‌या
ये बोझ अगर दिल से उतर जाए तो अच्छा
ये ज़ुल्फ़ …

वैसे तो तुम्हीं ने मुझे बर्बाद किया है
इल्ज़ाम किसी और पे आ जाए तो अच्छा
ये ज़ुल्फ़ …

ye zulf agar khul ke bikhar jāe to achchhā
is rāt kī taqdīr sṇvar jāe to achchhā
ye zulf …

jis tarah se thoṛī sī tere sāth kaṭī hai
bāqī bhī usī tarah guzar jāe to achchhā
ye zulf …

duniyā kī nigāhoṅ meṅ burā k‌yā hai bhalā k‌yā
ye bojh agar dil se utar jāe to achchhā
ye zulf …

vaise to tumhīṅ ne mujhe barbād kiyā hai
ilzām kisī aur pe ā jāe to achchhā
ye zulf …