ये शमा तो जली रोशनी के लिए
ये शमा तो जली रोशनी के लिए
इस शमा से कहीं आग लग जाए तो
ये शमा क्या करे
ये हवा तो चली साँस ले हर कोई
घर किसी का उजड़ जाए आँधी में तो
ये हवा क्या करे
चल के पूरब से ठण्डी हवा आ गई
उठ के पर्वत के काली घटा छा गई
ये घटा तो उठी प्यास सबकी बुझे
आशियाँ पे किसी के गिरीं बिजलियाँ तो
ये घटा क्या करे
ये शमा तो जली …
पूछता हूँ मैं सबसे कोई दे जवाब
नाख़ुदा की भला क्या ख़ता है जनाब
नाख़ुदा ले के साहिल के जानिब चला
डूब जाए सफ़ीना जो मँझधार में तो
नाख़ुदा क्या करे
ये शमा तो जली …
वो जो उलझन सी तेरे ख़्यालों में है
वो इशारा भी मेरे सवालों में है
ये निगाह तो मिली देखने के लिए
पर कहीं ये नज़र धोखा खा जाए तो
ये निगाह क्या करे
ये शमा तो जली …
ye śhamā to jalī rośhnī ke lie
is śhamā se kahīṅ āg lag jāe to
ye śhamā kyā kare
ye havā to chalī sāṇs le har koī
ghar kisī kā ujaṛ jāe āṇdhī meṅ to
ye havā kyā kare
chal ke pūrab se ṭhaṇḍī havā ā gaī
uṭh ke parvat ke kālī ghaṭā chhā gaī
ye ghaṭā to uṭhī pyās sabkī bujhe
āśhiyāṇ pe kisī ke girīṅ bijliyāṇ to
ye ghaṭā kyā kare
ye śhamā to jalī …
pūchhtā hūṇ maiṅ sabse koī de javāb
nākhudā kī bhalā kyā khatā hai janāb
nākhudā le ke sāhil ke jānib chalā
ḍūb jāe safīnā jo mṇjhdhār meṅ to
nākhudā kyā kare
ye śhamā to jalī …
vo jo uljhan sī tere khyāloṅ meṅ hai
vo iśhārā bhī mere savāloṅ meṅ hai
ye nigāh to milī dekhne ke lie
par kahīṅ ye nazar dhokhā khā jāe to
ye nigāh kyā kare
ye śhamā to jalī …