Ye reshmee zulfen, ye sharabtee aankhen

ये रेशमी ज़ुल्फ़ें, ये शरबती आँखें
Work
Year
Language

ये रेशमी ज़ुल्फ़ें, ये शरबती आँखें
इन्हें देख कर जी रहे हैं सभी - 2
ये …

(जो ये आँखे शरम से, झुक जाएंगी
सारी बातें यहीं बस, रुक जाएंगी ) - 2
चुप रहना ये अफ़साना, कोई इनको ना बतलाना कि
इन्हें देख कर जी रहे हैं सभी - 2
ये …

(ज़ुल्फ़ें मग़रूर इतनी, हो जाएंगी
दिल तो तड़पाएंगी, जी को तरसाएंगी ) - 2
ये कर देंगी दीवाना, कोई इनको ना बतलाना कि
इन्हें देख कर जी रहे हैं सभी - 2
ये …

ye reśhmī zulfeṅ, ye śharabtī āṇkheṅ
inheṅ dekh kar jī rahe haiṅ sabhī - 2
ye …

(jo ye āṇkhe śharam se, jhuk jāeṅgī
sārī bāteṅ yahīṅ bas, ruk jāeṅgī ) - 2
chup rahnā ye afsānā, koī inko nā batlānā ki
inheṅ dekh kar jī rahe haiṅ sabhī - 2
ye …

(zulfeṅ maġhrūr itnī, ho jāeṅgī
dil to taṛpāeṅgī, jī ko tarsāeṅgī ) - 2
ye kar deṅgī dīvānā, koī inko nā batlānā ki
inheṅ dekh kar jī rahe haiṅ sabhī - 2
ye …