Ye mulaaqaat ik bahaanaa hai

ये मुलाक़ात इक बहाना है
Work
Year
Language

ये मुलाक़ात इक बहाना है
प्यार का सिलसिला पुराना है

धड़कने धड़कनों में खो जायें
दिल को दिल के क़रीब लाना है

ख़्वाब तो काँच से भी नाज़ुक है
टूटने से इन्हें बचाना है

मन मेरा प्यार का शिवाला है
आप को देवता बनाना है

मैं हूँ अपने सनम के बाहों में
मेरे क़दमों तले ज़माना है

ye mulāqāt ik bahānā hai
pyār kā silsilā purānā hai

dhaṛakne dhaṛaknoṅ meṅ kho jāyeṅ
dil ko dil ke qarīb lānā hai

khvāb to kāṇch se bhī nāzuk hai
ṭūṭne se inheṅ bachānā hai

man merā pyār kā śhivālā hai
āp ko devtā banānā hai

maiṅ hūṇ apne sanam ke bāhoṅ meṅ
mere qadmoṅ tale zamānā hai