Ye meraa prem patr parhkar ke tum naaraaj naa honaa

ये मेरा प्रेम पत्र पढ़कर के तुम नाराज ना होना
Work
Year
Language

मेहरबां लिखूँ, हसीना लिखूँ या दिलरुबा लिखूँ
हैरान हूँ की आपको इस खत में क्या लिखूँ?

ये मेरा प्रेम पत्र पढ़कर के तुम नाराज़ ना होना
की तुम मेरी जिंदगी हो, की तुम मेरी बंदगी हो

तुझे मैं चाँद कहता था, मगर उस में भी दाग है
तुझे सूरज मैं कहता था, मगर उस में भी आग है
तुझे इतना ही कहता हूँ की मुझको तुमसे प्यार है

तुझे गंगा मैं समझूँगा, तुझे जमुना मैं समझूँगा
तू दिल के पास है इतनी, तुझे अपना मैं समझूँगा
अगर मर जाऊँ रूह भटकेगी तेरे इंतजार मैं

meharbāṅ likhūṇ, hasīnā likhūṇ yā dilrubā likhūṇ
hairān hūṇ kī āpko is khat meṅ kyā likhūṇ?

ye merā prem patr paṛhkar ke tum nārāz nā honā
kī tum merī jiṅdgī ho, kī tum merī baṅdgī ho

tujhe maiṅ chāṇd kahtā thā, magar us meṅ bhī dāg hai
tujhe sūraj maiṅ kahtā thā, magar us meṅ bhī āg hai
tujhe itnā hī kahtā hūṇ kī mujhko tumse pyār hai

tujhe gaṅgā maiṅ samjhūṇgā, tujhe jamunā maiṅ samjhūṇgā
tū dil ke pās hai itnī, tujhe apnā maiṅ samjhūṇgā
agar mar jāūṇ rūh bhaṭkegī tere iṅtjār maiṅ