Ye mausam kaa jaadoo hai mitvaa

ये मौसम का जादू है मितवा
Year
Language

ठण्डी ठण्डी पुरवैया में उड़ती है चुनरिया, हे
धड़के मोरा जिया रामा बाली है उमरिया

दिल पे, नहीं क़ाबु
कैसा, ये जादू

ये मौसम का जादू है मितवा
न अब दिल पे क़ाबू है मितवा
नैना जिसमें खो गये
दीवाने से हो गये
नज़ारा वो हर सू है मितवा
ये मौसम का जादू है मितवा …

शहरी बाबू के संग मेम गोरी गोरी, हे
ऐसे लगे जैसे, चन्दा की चकोरी

फूलों कलियों की बहारें
चंचल ये हवाओं की पुकारें

हमको ये इशारों में कहें हम
थम के यहाँ घड़ियाँ गुज़ारें

पहले कभी तो न हमसे
बतियाते थे ऐसे फुलवा
ये मौसम का जादू है मितवा …

Yएह ंऔसम ख़ ज़ादु ःऐ ंइत्व...

सच्ची सच्ची बोलना भेद न छुपाना, हे
कौन डगर से आये कौन दिशा है जाना

इनको हम ले के चले हैं
अपने संग अपनी नगरिया

है रे संग अनजाने का
उस पर अनजान डगरिया

फिर कैसे तुम दूर इतने
संग आ गई मेरे गोरिया
ये मौसम का जादू है मितवा …

ṭhaṇḍī ṭhaṇḍī purvaiyā meṅ uṛtī hai chunriyā, he
dhaṛke morā jiyā rāmā bālī hai umriyā

dil pe, nahīṅ qābu
kaisā, ye jādū

ye mausam kā jādū hai mitvā
na ab dil pe qābū hai mitvā
nainā jismeṅ kho gaye
dīvāne se ho gaye
nazārā vo har sū hai mitvā
ye mausam kā jādū hai mitvā …

śhahrī bābū ke saṅg mem gorī gorī, he
aise lage jaise, chandā kī chakorī

phūloṅ kaliyoṅ kī bahāreṅ
chaṅchal ye havāoṅ kī pukāreṅ

hamko ye iśhāroṅ meṅ kaheṅ ham
tham ke yahāṇ ghaṛiyāṇ guzāreṅ

pahle kabhī to na hamse
batiyāte the aise phulvā
ye mausam kā jādū hai mitvā …

Yeh ṅausam kha zādu ḥaai ṅitv...

sachchī sachchī bolnā bhed na chhupānā, he
kaun ḍagar se āye kaun diśhā hai jānā

inko ham le ke chale haiṅ
apne saṅg apnī nagriyā

hai re saṅg anjāne kā
us par anjān ḍagriyā

phir kaise tum dūr itne
saṅg ā gaī mere goriyā
ye mausam kā jādū hai mitvā …