ये मौसम भी गया वो मौसम भी गया ... अब तो कहो मेरे सनम्
ये मौसम भी गया वो मौसम भी गया
अब तो कहो मेरे सनम फिर कब मिलोगे
मिलेंगे जब हाँ हाँ हाँ
बारिश होगी
ये मौसम भी गया …
बिन तेरे कहीं कटें न ये पल
ये दिन ये रात मेरे बलमा
अब तो ढूंढे यहां हमेशा तुझे मेरी नज़र
मेरी दिलरुबा होंगी भला कैसे खत्म तेरी मेरी दूरियां
ये मौसम भी गया …
क्यूं बनाए भला बहाने लगा मुझे गले
न ऐसे सता मैं मिटा दूं तेरी बेचैनी
मेरे हसीं सनम ज़रा पास आ
मिल के भला मिलने की अब कैसी मजबूरियां
ये मौसम भी गया …
ye mausam bhī gayā vo mausam bhī gayā
ab to kaho mere sanam phir kab miloge
mileṅge jab hāṇ hāṇ hāṇ
bāriśh hogī
ye mausam bhī gayā …
bin tere kahīṅ kaṭeṅ na ye pal
ye din ye rāt mere balmā
ab to ḍhūṅḍhe yahāṅ hameśhā tujhe merī nazar
merī dilrubā hoṅgī bhalā kaise khatm terī merī dūriyāṅ
ye mausam bhī gayā …
kyūṅ banāe bhalā bahāne lagā mujhe gale
na aise satā maiṅ miṭā dūṅ terī bechainī
mere hasīṅ sanam zarā pās ā
mil ke bhalā milne kī ab kaisī majbūriyāṅ
ye mausam bhī gayā …