Ye larkee hai yaa khoobsoorat balaa

ये लड़की है या खूबसूरत बला
Year
Language

ये लड़की है या खूबसूरत बला
ज़रा इसके यौवन की देखो कला
अदा में नज़र में है जादू भरा
कहीं फंस ना जाए कोई मनचला

ये लड़का हुआ है दीवाना मेरा
न करना यकीं है इसका दिल जला
ये लड़की है या …

दिल है इसका प्यार से खाली
इसके मुखड़े पे गज़ब लगे गुस्से की लाली
समझो ना तुम मुझको ऐसी वैसी
छूना नहीं मैं हूँ अंगार जैसी
ओ नादां हसीना ये ज़िद छोड़ दे
मेरे पास आ दिल से दिल जोड़ दे
तू जल जाएगा तू पिघल जाएगा
कभी भी तू न करना ये फ़ैसला
ये लड़की है या …

उफ़ ये जलवे उफ़ ये तेवर तीर चलाए दिल पे कस के
लटके झटके सबसे हट के चलती है क्‌या मटक मटक के
दुनिया से हट के हैं अन्दाज़ मेरे
खनका दूं दिल के सभी साज़ तेरे
मैं तुझको तू मुझको ज़रा आज़मा
अकेले में चल चल के नज़रें मिला
न मजनूं न रांझा न फ़रहाद तू
दीवानों के नकश-ए-कदम पे चला
अदा में नज़र में …

ye laṛkī hai yā khūbsūrat balā
zarā iske yauvan kī dekho kalā
adā meṅ nazar meṅ hai jādū bharā
kahīṅ phaṅs nā jāe koī manachlā

ye laṛkā huā hai dīvānā merā
na karnā yakīṅ hai iskā dil jalā
ye laṛkī hai yā …

dil hai iskā pyār se khālī
iske mukhaṛe pe gazab lage gusse kī lālī
samjho nā tum mujhko aisī vaisī
chhūnā nahīṅ maiṅ hūṇ aṅgār jaisī
o nādāṅ hasīnā ye zid chhoṛ de
mere pās ā dil se dil joṛ de
tū jal jāegā tū pighal jāegā
kabhī bhī tū na karnā ye faislā
ye laṛkī hai yā …

uf ye jalve uf ye tevar tīr chalāe dil pe kas ke
laṭke jhaṭke sabse haṭ ke chaltī hai k‌yā maṭak maṭak ke
duniyā se haṭ ke haiṅ andāz mere
khankā dūṅ dil ke sabhī sāz tere
maiṅ tujhko tū mujhko zarā āzmā
akele meṅ chal chal ke nazreṅ milā
na majnūṅ na rāṅjhā na farhād tū
dīvānoṅ ke nakaśh-e-kadam pe chalā
adā meṅ nazar meṅ …