Ye laal rang kab mujhe chhodegaa

ये लाल रंग कब मुझे छोडेगा
Work
Year
Language

ये लाल रंग कब मुझे छोड़ेगा
मेरा गम कब तलक, मेरा दिल तोड़ेगा

किसी का भी लिया नाम तो
आयी याद तू ही तू
ये तो प्याला शराब का
बन गया ये लहू

पीने की कसम डाल दी
पिऊंगा किस तरह
ये ना सोचा तू ने यार मैं
जिऊँगा किस तरह

चला जाऊँ कहीं छोड़ कर
मैं तेरा ये शहर
ना तो यहाँ अमृत मिले
पीने को ना जहर

ye lāl raṅg kab mujhe chhoṛegā
merā gam kab talak, merā dil toṛegā

kisī kā bhī liyā nām to
āyī yād tū hī tū
ye to pyālā śharāb kā
ban gayā ye lahū

pīne kī kasam ḍāl dī
piūṅgā kis tarah
ye nā sochā tū ne yār maiṅ
jiūṇgā kis tarah

chalā jāūṇ kahīṅ chhoṛ kar
maiṅ terā ye śhahar
nā to yahāṇ amṛt mile
pīne ko nā jahr