Ye kyaa huaa, kaise huaa, kab huaa

ये क्या हुआ, कैसे हुआ, कब हुआ
Work
Year
Language

ये क्या हुआ, कैसे हुआ, कब हुआ
क्यों हुआ, जब हुआ, तब हुआ
छोडो, ये ना सोचो

हम क्यों शिकवा करे झूठा
क्या हुआ जो दिल टूटा
शीशे का खिलौना था
कुछ ना कुछ तो होना था, हुआ

हमने जो देखा था, सुना था
क्या बताये वो क्या था
सपना सलोना था
ख़तम तो होना था, हुआ

ऐ दिल, चल पीकर झूमे
इन्ही गलियों में घूमे
यहाँ तुझे खोना था
बदनाम होना था, हुआ

ye kyā huā, kaise huā, kab huā
kyoṅ huā, jab huā, tab huā
chhoḍo, ye nā socho

ham kyoṅ śhikvā kare jhūṭhā
kyā huā jo dil ṭūṭā
śhīśhe kā khilaunā thā
kuchh nā kuchh to honā thā, huā

hamne jo dekhā thā, sunā thā
kyā batāye vo kyā thā
sapnā salonā thā
khatam to honā thā, huā

ai dil, chal pīkar jhūme
inhī galiyoṅ meṅ ghūme
yahāṇ tujhe khonā thā
badnām honā thā, huā